Title (Indic)जैसे सूरज कि गर्मी से जलते हुए तन को WorkParinay Year1974 LanguageHindi Credits Role Artist Music Jaidev Performer Sharma Bandhu Writer Ramanand Sharma LyricsHindiजैसे सूरज की गर्मी से जलते हुए तन को मिल जाये तरुवर कि छाया ऐसा ही सुख मेरे मन को मिला है मैं जबसे शरण तेरी आया, मेरे राम भटका हुआ मेरा मन था कोई मिल ना रहा था सहारा लहरों से लड़ती हुई नाव को जैसे मिल ना रहा हो किनारा, मिल ना रहा हो किनारा उस लड़खड़ाती हुई नाव को जो किसी ने किनारा दिखाया ऐसा ही सुख … शीतल बने आग चंदन के जैसी राघव कृपा हो जो तेरी उजियाली पूनम की हो जाएं रातें जो थीं अमावस अंधेरी, जो थीं अमावस अंधेरी युग-युग से प्यासी मरुभूमि ने जैसे सावन का संदेस पाया ऐसा ही सुख … जिस राह की मंज़िल तेरा मिलन हो उस पर कदम मैं बढ़ाऊं फूलों में खारों में, पतझड़ बहारों में मैं न कभी डगमगाऊं, मैं न कभी डगमगाऊं पानी के प्यासे को तक़दीर ने जैसे जी भर के अमृत पिलाया ऐसा ही सुख … Englishjaise sūraj kī garmī se jalte hue tan ko mil jāye taruvar ki chhāyā aisā hī sukh mere man ko milā hai maiṅ jabse śharaṇ terī āyā, mere rām bhaṭkā huā merā man thā koī mil nā rahā thā sahārā lahroṅ se laṛtī huī nāv ko jaise mil nā rahā ho kinārā, mil nā rahā ho kinārā us laṛkhaṛātī huī nāv ko jo kisī ne kinārā dikhāyā aisā hī sukh … śhītal bane āg chaṅdan ke jaisī rāghav kṛpā ho jo terī ujiyālī pūnam kī ho jāeṅ rāteṅ jo thīṅ amāvas aṅdherī, jo thīṅ amāvas aṅdherī yug-yug se pyāsī marubhūmi ne jaise sāvan kā saṅdes pāyā aisā hī sukh … jis rāh kī maṅzil terā milan ho us par kadam maiṅ baṛhāūṅ phūloṅ meṅ khāroṅ meṅ, patjhaṛ bahāroṅ meṅ maiṅ na kabhī ḍagamgāūṅ, maiṅ na kabhī ḍagamgāūṅ pānī ke pyāse ko taqdīr ne jaise jī bhar ke amṛt pilāyā aisā hī sukh …