mausam hai āśhiqānā
ai dil kahīṅ se unko aise meṅ ḍhūṇḍh lānā
kahnā ke rut javāṅ hai, aur ham taras rahe haiṅ
kālī ghaṭā ke sāe, birahan ko ḍṇs rahe haiṅ
ḍar hai na mār ḍāle (sāvan kā kyā ṭhikānā) - (2)
mausam hai …
sūraj kahīṅ bhī jāe, tum par na dhūp āe
tumko pukārte haiṅ, in gesuoṅ ke sāe
ā jāo maiṅ banā dūṇ (palkoṅ kā śhāmiyānā) - (2)
mausam hai …
firte haiṅ ham akele, bāṅhoṅ meṅ koī le le
ākhir koī kahāṇ tak, tanhāiyoṅ se khele
din ho gae haiṅ zālim (rāteṅ haiṅ qātilānā) - (2)
mausam hai …
ye rāt ye khāmośhī ye khvāb se nazāre
jugnū haiṅ yā zamīṅ par, utre hue haiṅ tāre
betāb merī āṇkheṅ (madhoṣh hai zamānā) - (2)
mausam hai …