पहले भी जीते थे मगर जबसे मिली है ज़िंदगी
पहले भी जीते थे मगर जबसे मिली है ज़िंदगी
सीधी नहीं है दूर तक उलझी हुई है ज़िंदगी
अच्छी भली थी दूर से जब पास आई खो गई
जिसमें न आये कुछ नज़र वो रोशनी है ज़िंदगी
हर रास्ता अन्जान सा हर फलसफ़ा नादान सा
सदियों पुरानी है मगर हर दिन नई है ज़िंदगी
मिट्टी हवा बन कर उड़ी घूमी फिरी वापस मुड़ी
क़बरों पे क़तबों की तरह लिक्खी हुई है ज़िंदगी
pahle bhī jīte the magar jabse milī hai ziṅdgī
sīdhī nahīṅ hai dūr tak uljhī huī hai ziṅdgī
achchhī bhalī thī dūr se jab pās āī kho gaī
jismeṅ na āye kuchh nazar vo rośhnī hai ziṅdgī
har rāstā anjān sā har phalasafā nādān sā
sadiyoṅ purānī hai magar har din naī hai ziṅdgī
miṭṭī havā ban kar uṛī ghūmī phirī vāpas muṛī
qabroṅ pe qatboṅ kī tarah likkhī huī hai ziṅdgī