zulmat-kade meṅ mere śhab-e-ġham kā jośh hai
ik śhamā hai dalīl-e-sahar so khamośh hai
ai tāzā vāredān-e-bisāt-e-havā-e-dil
zinhār gar tumheṅ havas-e-nāv-nośh hai
dekho mujhe jo dīdā-e-ibarat-nigāh ho
merī suno jo gośh-e-nasīhat-niośh hai
dāġh-e-firāq-e-sohbat-e-śhab kī jalī huī
ik śhammā rah gaī hai so vo bhī khamośh hai
āte haiṅ ġhaib se ye mazāmīṅ khayāl meṅ
'ġhālib' sarīr-e-khāmā nāvā-e-sarośh hai
ai tāzā vāredān-e-bisāt-e-havā-e-dil
zinhār gar tumheṅ havas-e-nāv-nośh hai
dekho mujhe jo dīdā-e-ibarat-nigāh ho
merī suno jo gośh-e-nasīhat-niośh hai
ya śhab ko dekhte the ke har gośh-e-bisāt
dāmān-e-bāġhbān-o-kaf-e-gul-farośh hai
yā subah-dam jo dekhiye ākar to bazam meṅ
nai vo sūrūr-o-śhor na jośh-o-kharośh hai