ये फ़ासला जो पड़ा है मेरे ग़ुमाँ में न था
ये फ़ासला जो पड़ा है मेरे ग़ुमाँ में न था
के अबकी बार ज़माना भी दर्मियाँ में न था
कोई भी नज़्म-ए-चमन हो ये हमने देखा है
सहर का नग़्मा-सरा शाम-ए-आशियाँ में न था
के जिसके हाथ में पत्थर कमाँ में तीर न हो
कोई भी ऐसा मेरे शहर-ए-मेहबरबाँ में न था
दुआएं मैंने ही माँगी थीं रुत बदलने की
'फ़राज़्' मेरा नशेमन ही गुलसिताँ में न था
ye fāslā jo paṛā hai mere ġhumāṇ meṅ na thā
ke abkī bār zamānā bhī darmiyāṇ meṅ na thā
koī bhī nazam-e-chaman ho ye hamne dekhā hai
sahar kā naġhmā-sarā śhām-e-āśhiyāṇ meṅ na thā
ke jiske hāth meṅ patthar kamāṇ meṅ tīr na ho
koī bhī aisā mere śhahar-e-mehbarbāṇ meṅ na thā
duāeṅ maiṅne hī māṇgī thīṅ rut badalne kī
'farāz' merā naśheman hī gulsitāṇ meṅ na thā