tumhāre khat meṅ nayā ik salām kiskā thā
na thā raqīb to ākhir vo nām kiskā thā
rahā na dil meṅ vo bedard aur dard rahā
muqīm kaun huā hai maqām kiskā thā
vafā kareṅge, nibāheṅge, bāt māneṅge
tumheṅ bhī yād hai kuchh ye kalām kiskā thā
guzar gayā vo zamānā kahūṇ to kisse kahūṇ
khayāl dil ko mere subah-o-śhām kiskā thā
vo qatl karke mujhe har kisī se pūchhte haiṅ
ye kām kisne kiyā hai ye kām kiskā thā
inhīṅ safāt se hotā hai ādmī maśhhūr
jo lutf āp vo karte to nām kiskā thā
na pūchh gachchh kisī kī vahāṇ na āv-bhagat
tumhārī bazam meṅ kal ehatrām kiskā thā
hamāre khat ke to purje kiye paṛhā bhī nahīṅ
sunā jo tumne ba-dil vo payām kiskā thā
har ek se kahte haiṅ kyā 'dāġh' bevafā niklā
ye pūchhe inse koī vo ġhulām kiskā thā