Nagree nagree phiraa musaafir ghar kaa rastaa bhool gayaa

नगरी नगरी फिरा मुसाफ़िर घर का रस्ता भूल गया
Year
Language

नगरी नगरी फिरा मुसाफ़िर घर का रस्ता भूल गया
क्‌या है तेरा क्‌या है मेरा अपना पराया भूल गया

क्‌या भुला कैसे भूला क्‌यूँ पूछते हो बस यूँ समझो
कारन दोष नहीं है कोई भूला भाला भूल गया

जिसको देखो उसके दिल में शिक़्वा है तो इतना है
हमें तो सब कुछ याद रहा पर हमको ज़माना भूल गया

कोई कहे ये किसने कहा था कह दो जो कुछ जी में है
मेरा जी कह कर पछताया और फिर कहना भूल गया

nagrī nagrī phirā musāfir ghar kā rastā bhūl gayā
k‌yā hai terā k‌yā hai merā apnā parāyā bhūl gayā

k‌yā bhulā kaise bhūlā k‌yūṇ pūchhte ho bas yūṇ samjho
kāran doṣh nahīṅ hai koī bhūlā bhālā bhūl gayā

jisko dekho uske dil meṅ śhiqvā hai to itnā hai
hameṅ to sab kuchh yād rahā par hamko zamānā bhūl gayā

koī kahe ye kisne kahā thā kah do jo kuchh jī meṅ hai
merā jī kah kar pachhtāyā aur phir kahnā bhūl gayā