मुंतज़िर कब से ग़ैर है तेरी तक़रीर का
मुंतज़िर कब से ग़ैर है तेरी तक़रीर का
बात कर तुझ पे गुमाँ होने लगा तसवीर का
रात क्या सोये कि बाकी उम्र की नींद उड़ गयी
ख़्वाब क्या देखा कि धड़का लग गया ताबीर का
कैसे पाया था तुझे फिर किस तरह खोया तुझे
मुझ सा मुन्किर भी तो क़ायल हो गया तक़दीर का
जाने किस आलम में तू बिछड़ा कि है तेरे बग़ैर
आज तक हर नक़्श फ़रियादी मेरी तहरीर का
जिसको भी चाहा बड़ी शिद्दत से चाहा है 'फ़राज़्'
सिलसिला टूटा नहीं है दर्द की ज़ंजीर का
muṅtazir kab se ġhair hai terī taqrīr kā
bāt kar tujh pe gumāṇ hone lagā tasvīr kā
rāt kyā soye ki bākī umr kī nīṅd uṛ gayī
khvāb kyā dekhā ki dhaṛkā lag gayā tābīr kā
kaise pāyā thā tujhe phir kis tarah khoyā tujhe
mujh sā munkir bhī to qāyal ho gayā taqdīr kā
jāne kis ālam meṅ tū bichhaṛā ki hai tere baġhair
āj tak har naqśh fariyādī merī tahrīr kā
jisko bhī chāhā baṛī śhiddat se chāhā hai 'farāz'
silsilā ṭūṭā nahīṅ hai dard kī zaṅjīr kā