मर मर कर जीना छोड़ दिया
लो हमने पीना छोड़ दिया
ख़ाबों के ख़याली धागों से
ज़ख़्मों को सीना छोड़ दिया
ढलते ही शाम सुलू होना
हमने वो करीना छोड़ दिया
तूफ़ान हमें वो रास आया
के हमने सफ़ीना छोड़ दिया
मय क्या छोड़ी के लगता है
जीते जी जीना छोड़ दिया
'शहज़ाद्' ने ख़ाबों में जीना
ऐ शोख़ हसीना छोड़ दिया
mar mar kar jīnā chhoṛ diyā
lo hamne pīnā chhoṛ diyā
khāboṅ ke khayālī dhāgoṅ se
zakhmoṅ ko sīnā chhoṛ diyā
ḍhalte hī śhām sulū honā
hamne vo karīnā chhoṛ diyā
tūfān hameṅ vo rās āyā
ke hamne safīnā chhoṛ diyā
may kyā chhoṛī ke lagtā hai
jīte jī jīnā chhoṛ diyā
'śhahazād' ne khāboṅ meṅ jīnā
ai śhokh hasīnā chhoṛ diyā