Kuchh din to baso meree aankhon men

कुछ दिन तो बसो मेरी आँखों में
Year
Language

कुछ दिन तो बसो मेरी आँखों में
फिर ख़्वाब अगर हो जाओ तो क्‌या

कोई रंग तो दो मेरे चेहरे को
फिर ज़ख़्म अगर महकाओ तो क्‌या

इक आईना था सो टूट गया
अब ख़ुद से अगार शरमाओ तो क्‌या

मैं तन्हा था मैं तन्हा हूँ
तुम आओ तो क्‌या न आओ तो क्‌या

जब हम ही न महके तो साहब
तुम बाद-ए-सबा कहलाओ तो क्‌या

जब देखने वाला कोई नहीं
बुझ जाओ तो क्‌या जल जाओ तो क्‌या

kuchh din to baso merī āṇkhoṅ meṅ
phir khvāb agar ho jāo to k‌yā

koī raṅg to do mere chehre ko
phir zakhm agar mahkāo to k‌yā

ik āīnā thā so ṭūṭ gayā
ab khud se agār śharmāo to k‌yā

maiṅ tanhā thā maiṅ tanhā hūṇ
tum āo to k‌yā na āo to k‌yā

jab ham hī na mahke to sāhab
tum bād-e-sabā kahlāo to k‌yā

jab dekhne vālā koī nahīṅ
bujh jāo to k‌yā jal jāo to k‌yā