Koee naa mere gham ko jaane

कोई ना मेरे ग़म को जाने
Year
Language

कोई ना मेरे ग़म को जाने
अपना कौन है सब बेगाने

दर्द की आहें ग़म के आँसू
इस दुनिया के ताने बाने

आँखें मेरी राहें तेरी
मुड़ मुड़ देखूँ हील-ए-बहाने

कौन भला मदहोश न होता
छलके पलकों से पैमाने

साक़ी ने मुँह ऐसा फेरा
सूने हो गये सब मयख़ाने

'आरिफ़्' का हर आँसू मोती
दिल है ज़िंदा दर्द सुहाने

koī nā mere ġham ko jāne
apnā kaun hai sab begāne

dard kī āheṅ ġham ke āṇsū
is duniyā ke tāne bāne

āṇkheṅ merī rāheṅ terī
muṛ muṛ dekhūṇ hīl-e-bahāne

kaun bhalā madhośh na hotā
chhalke palkoṅ se paimāne

sāqī ne muṇh aisā pherā
sūne ho gaye sab mayakhāne

'ārif' kā har āṇsū motī
dil hai ziṅdā dard suhāne