Kayaal-o-khvaab huee hain muhabbten kaisee

कयाल-ओ-ख़्वाब हुई हैं मुहब्बतें कैसी
Year
Language

ख़याल-ओ-ख़्वाब हुई हैं मुहब्बतें कैसी
लहू में नाच रही हैं ये वहशतें कैसी

न शब को चाँद ही अच्छा न दिन को मेहर अच्छा
ये हम पे बीत रही हैं क़ियामते कैसी

वो साथ था तो ख़ुदा भी था मेहरबाँ क्‌या
बिछड़ गया तो हुई अदावतें कैसी

अज़ाब जिसका तबस्सुम गज़ब है जिसकी निगाह
खिँची हुई हैं पस-ए-जाँ ये सूरतें कैसी

हवा के रुख़ पे ही रखे हुये चिराग़ हैं हम
जो बुझ गये तो हवा से शिक़ायतें कैसी

जो बे-ख़बर कोई गुज़रा तो ये सदा दी है
मैं संग-ए-राह हूँ मुझपे इनायतें कैसी

khayāl-o-khvāb huī haiṅ muhabbteṅ kaisī
lahū meṅ nāch rahī haiṅ ye vahaśhteṅ kaisī

na śhab ko chāṇd hī achchhā na din ko mehar achchhā
ye ham pe bīt rahī haiṅ qiyāmte kaisī

vo sāth thā to khudā bhī thā meharbāṇ k‌yā
bichhaṛ gayā to huī adāvteṅ kaisī

azāb jiskā tabassum gazab hai jiskī nigāh
khiṇchī huī haiṅ pas-e-jāṇ ye sūrteṅ kaisī

havā ke rukh pe hī rakhe huye chirāġh haiṅ ham
jo bujh gaye to havā se śhiqāyteṅ kaisī

jo be-khabar koī guzrā to ye sadā dī hai
maiṅ saṅg-e-rāh hūṇ mujhpe ināyteṅ kaisī