Kabhee nekee bhee uske jee men gar aa jaaye hai mujhse

कभी नेकी भी उसके जी में गर आ जाये है मुझसे
Year
Language

कभी नेकी भी उसके जी में गर आ जाये है मुझसे
जफ़ायें कर के अपनी याद शर्मा जाये है मुझसे

उधर वो बदग़ुमानी है इधर वो नातवानी है
न पूछा जाये है उनसे न बोला जाये है मुझसे

सम्भलने दे ज़रा ऐ नाउम्मीदी क्‌या क़यामत है
के दामान-ए-ख़याल-ए-यार छूटा जाये है मुझसे

क़यामत है कि होये मुद्दई का हमसफ़र 'ग़ालिब्'
वो क़ाफ़िर जो ख़ुदा को भी न सौँपा जाये है मुझसे

ख़ुदाया जज़्बा-ए-दिल की मगर तासीर उल्टी है
कि जितना खीँचता हूँ और खिँचता जाए है मुझसे

वो बद-ख़ूँ और मेरी दास्तान-ए-इश्क़ तूलानी
इबारत मुख़्तसर कासिद भी घबरा जाये है मुझसे

तक़ल्लुफ़ बरतरफ़ नाराज़गी में भी सही लेकिन
वो देखा जाये, कब ये ज़ुल्म देखा जाये है मुझसे

हुये हैं पाँव ही पहले नबर्द-ए-इश्क़ में ज़ख़्मी
न भागा जाये है मुझसे न ठहरा जाये है मुझसे

kabhī nekī bhī uske jī meṅ gar ā jāye hai mujhse
jafāyeṅ kar ke apnī yād śharmā jāye hai mujhse

udhar vo badaġhumānī hai idhar vo nātvānī hai
na pūchhā jāye hai unse na bolā jāye hai mujhse

sambhalne de zarā ai nāummīdī k‌yā qayāmat hai
ke dāmān-e-khayāl-e-yār chhūṭā jāye hai mujhse

qayāmat hai ki hoye muddaī kā hamasafar 'ġhālib'
vo qāfir jo khudā ko bhī na sauṇpā jāye hai mujhse

khudāyā jazbā-e-dil kī magar tāsīr ulṭī hai
ki jitnā khīṇchtā hūṇ aur khiṇchtā jāe hai mujhse

vo bad-khūṇ aur merī dāstān-e-iśhq tūlānī
ibārat mukhtasar kāsid bhī ghabrā jāye hai mujhse

taqalluf bartaraf nārāzgī meṅ bhī sahī lekin
vo dekhā jāye, kab ye zulm dekhā jāye hai mujhse

huye haiṅ pāṇv hī pahle nabard-e-iśhq meṅ zakhmī
na bhāgā jāye hai mujhse na ṭhahrā jāye hai mujhse