kabhī āh lab pe machal gaī kabhī aśhq āṇkh se ḍhal gaye
vo tumhāre ġham ke charāġh haiṅ kabhī bujh gaye kabhī jal gaye
maiṅ khayāl-o-khāb kī mahafileṅ na ba-kadr-e-śhauq sajā sakā
terī ik nigāh ke sāth hī mere sab irāde badal gaye
kabhī raṅg meṅ kabhī rūp meṅ kabhī chhāṇv meṅ kabhī dhūp meṅ
kahīṅ āftāb-e-nazar haiṅ vo kahīṅ māhtāb meṅ ḍhal gaye
jo fanā huye ġham-e-iśhq meṅ unheṅ ziṅdgī kā na ġham huā
jo na apnī āg meṅ jal sake vo parāī āg meṅ jal gaye
thā unheṅ bhī merī tarah junūṇ to phir unmeṅ mujhmeṅ ye farq kyūṇ
maiṅ garift-e-ġham se na bach sakā vo hudūd-e-ġham se nikal gaye