Title (Indic)हक़-ए-वफ़ा जो हम जताने लगे WorkOrphan tracks Year1970 LanguageHindi Credits Role Artist Performer Ghulam Ali Writer Hali LyricsHindiहक़-ए-वफ़ा जो हम जताने लगे आप कुछ कह के मुस्कुराने लगे हमको जीना पड़ेगा फ़ुर्क़त में वो अगर हिम्मत आज़माने लगे डर है मेरी ज़ुबाँ न खुल जाये अब वो बातें बहुत बताने लगे जान बचती नज़र नहीं आती ग़ैर उल्फ़त बहुत जताने लगे तुमको करना पड़ेगा उज्र वफ़ा हम अगर दर्द-ए-दिल सुनाने लगे बहुत मुश्किल है शेवा-ए-तस्लीम हम भी आख़िर को जी चुराने लगे वक़्त-ए-रुख़्सत था सख़्त 'हाली' पर हम भी बैठे थे जब वो जाने लगे Englishhaq-e-vafā jo ham jatāne lage āp kuchh kah ke muskurāne lage hamko jīnā paṛegā furqat meṅ vo agar himmat āzmāne lage ḍar hai merī zubāṇ na khul jāye ab vo bāteṅ bahut batāne lage jān bachtī nazar nahīṅ ātī ġhair ulfat bahut jatāne lage tumko karnā paṛegā ujr vafā ham agar dard-e-dil sunāne lage bahut muśhkil hai śhevā-e-taslīm ham bhī ākhir ko jī churāne lage vaqt-e-rukhsat thā sakht 'hālī' par ham bhī baiṭhe the jab vo jāne lage