है दुआ याद मगर हर्फ़-ए-दुआ याद नहीं
प्रेलुदे
दिल की चोटों ने कभी चैन से रहने न दिया
जब चली सर्द हवा मैंने तुझे याद किया
पूछने आते हो हर रोज़ असीरों के मिज़ाज
क्यूँ नहीं कहते हो जाओ तुम्हें आज़ाद किया
है दुआ याद मगर हर्फ़-ए-दुआ याद नहीं
मेरे नग्मात को अंदाज़-ए-नवा याद नहीं
ज़िंदगी ज़ब्र-ए-मुसलसल की तरह काटी है
जाने किस जुर्म की काटी है सज़ा याद नहीं
सिर्फ़ धुँधलाये सितारों की चमक देखी है
कब हुआ कौन हुआ मुझसे ख़फ़ा याद नहीं
आओ एक सजदा करें आलम-ए-मदहोशी में
लोग कहते हैं 'सागर्' को ख़ुदा याद नहीं
prelude
dil kī choṭoṅ ne kabhī chain se rahne na diyā
jab chalī sard havā maiṅne tujhe yād kiyā
pūchhne āte ho har roz asīroṅ ke mizāj
kyūṇ nahīṅ kahte ho jāo tumheṅ āzād kiyā
hai duā yād magar harf-e-duā yād nahīṅ
mere nagmāt ko aṅdāz-e-navā yād nahīṅ
ziṅdgī zabr-e-muslasal kī tarah kāṭī hai
jāne kis jurm kī kāṭī hai sazā yād nahīṅ
sirf dhuṇdhlāye sitāroṅ kī chamak dekhī hai
kab huā kaun huā mujhse khafā yād nahīṅ
āo ek sajdā kareṅ ālam-e-madhośhī meṅ
log kahte haiṅ 'sāgar' ko khudā yād nahīṅ