Gale lagaa ke jo sunte the dil kee aahon ko

गले लगा के जो सुनते थे दिल की आहों को
Year
Language

गले लगा के जो सुनते थे दिल की आहों को
तरस रहा हूँ उन्हीं की हसीन बाहों को
गले लगा के जो सुनते थे

कदम-कदम पे वो आँखें बिछा-बिछा देना
ज़रूर याद तो होगा तुम्हारी राहों को
गले लगा के जो सुनते थे

दोहाई है तेरी ऐ राहज़न दोहाई है
कि आज लूट लिया राहबर ने राहों को
गले लगा के जो सुनते थे

मिले न फिर तेरे दामन में दाग़ उन के शमीम
शराब-ए-नाब से धोया है जिन आहों को
गले लगा के जो सुनते थे दिल की आहों को

gale lagā ke jo sunte the dil kī āhoṅ ko
taras rahā hūṇ unhīṅ kī hasīn bāhoṅ ko
gale lagā ke jo sunte the

kadam-kadam pe vo āṇkheṅ bichhā-bichhā denā
zarūr yād to hogā tumhārī rāhoṅ ko
gale lagā ke jo sunte the

dohāī hai terī ai rāhazan dohāī hai
ki āj lūṭ liyā rāhbar ne rāhoṅ ko
gale lagā ke jo sunte the

mile na phir tere dāman meṅ dāġh un ke śhamīm
śharāb-e-nāb se dhoyā hai jin āhoṅ ko
gale lagā ke jo sunte the dil kī āhoṅ ko