Title (Indic)दिल की चोटों ने कभी चैन से रहने न दिया WorkOrphan tracks Year1970 LanguageHindi Credits Role Artist Performer Ghulam Ali Writer Zosh LyricsHindiदिल की चोटों ने कभी चैन से रहने न दिया जब चली सर्द हवा मैंने तुझे याद किया ये मैं सौ जाँ से तिरे तर्ज़-ए-तक़ल्लुम के निसार फिर तो फ़र्माइये क्या आपने इरशाद किया इसका रोना नहीं क्यों तुमने किया दिल बरबाद इसका ग़म है कि बहुत देर से बरबाद किया इतना मानूस हूँ फ़ितरत से कली जब चटकी झुक के मैंने ये कहा मुझसे कुछ इर्शाद किया मेरी हर साँस है इस बात की शाहिद ऐ मौत मैंने हर लुत्फ़ के मौक़े पे तुझे याद किया मुझको तो होश नहीं तुमको ख़बर हो शायद लोग कहते हैं कि तुमने मुझे बरबाद किया कुछ नहीं इसके सिवा 'जोश्' हरीफ़ों का कलाम वस्ल ने शाद किया हिज्र ने ना-शाद किया Englishdil kī choṭoṅ ne kabhī chain se rahne na diyā jab chalī sard havā maiṅne tujhe yād kiyā ye maiṅ sau jāṇ se tire tarz-e-taqallum ke nisār phir to farmāiye kyā āpne irśhād kiyā iskā ronā nahīṅ kyoṅ tumne kiyā dil barbād iskā ġham hai ki bahut der se barbād kiyā itnā mānūs hūṇ fitarat se kalī jab chaṭkī jhuk ke maiṅne ye kahā mujhse kuchh irśhād kiyā merī har sāṇs hai is bāt kī śhāhid ai maut maiṅne har lutf ke mauqe pe tujhe yād kiyā mujhko to hośh nahīṅ tumko khabar ho śhāyad log kahte haiṅ ki tumne mujhe barbād kiyā kuchh nahīṅ iske sivā 'jośh' harīfoṅ kā kalām vasl ne śhād kiyā hijr ne nā-śhād kiyā