Chaman men rang-e-bahaar utraa to mainne dekhaa

चमन में रंग-ए-बहार उतरा तो मैंने देखा
Year
Language

चमन में रंग-ए-बहार उतरा
तो मैंने देखा, तो मैंने देखा
नज़र से दिल का ग़ुबार उतरा
तो मैंने देखा, तो मैंने देखा

मैं नीम-शब आसमाँ की वुसअत को देखता था
ज़मीं पे वो हुस्न-ए-ज़ार उतरा
तो मैंने देखा, तो मैंने देखा

बड़े वुसूख़ से दुनिया फ़रेब देती है
बड़े ख़ुलूस से हम एतबार करते हैं

गली के बाहर तमाम मंज़र बदल गये थे
जो साया-ए-कू-ए-यार उतरा
तो मैंने देखा, तो मैंने देखा

खुमार-ए-मय में वो चेहरा कुछ और लग रहा था
दम-ए-सहर जब खुमार उतरा
तो मैंने देखा, तो मैंने देखा

इक और दरिया का सामना था 'मुनीर्' मुझको
मैं एक दरिया के पार उतरा
तो मैंने देखा, तो मैंने देखा

chaman meṅ raṅg-e-bahār utrā
to maiṅne dekhā, to maiṅne dekhā
nazar se dil kā ġhubār utrā
to maiṅne dekhā, to maiṅne dekhā

maiṅ nīm-śhab āsmāṇ kī vusaat ko dekhtā thā
zamīṅ pe vo husn-e-zār utrā
to maiṅne dekhā, to maiṅne dekhā

baṛe vusūkh se duniyā fareb detī hai
baṛe khulūs se ham etbār karte haiṅ

galī ke bāhar tamām maṅzar badal gaye the
jo sāyā-e-kū-e-yār utrā
to maiṅne dekhā, to maiṅne dekhā

khumār-e-may meṅ vo chehrā kuchh aur lag rahā thā
dam-e-sahar jab khumār utrā
to maiṅne dekhā, to maiṅne dekhā

ik aur dariyā kā sāmnā thā 'munīr' mujhko
maiṅ ek dariyā ke pār utrā
to maiṅne dekhā, to maiṅne dekhā