अगर हम कहें और वो मुस्कुरा दें
अगर हम कहें और वो मुस्कुरा दें
हम उनके लिए ज़िंदगानी लुटा दें
हर एक मोड़ पर हम ग़मों को सज़ा दें
चलो ज़िंदगी को मोहब्बत बना दें
अगर ख़ुद को भूले तो, कुछ भी न भूले
कि चाहत में उनकी, ख़ुदा को भुला दें
कभी ग़म की आँधी, जिन्हें छू न पाए
वफ़ाओं के हम, वो नशेमन बना दें
क़यामत के दीवाने कहते हैं हमसे
शलो उनके चहरे से पर्दा हटा दें
सज़ा दें, सिला दें, बना दें, मिटा दें
मगर वो कोई फ़ैसला तो सुना दें
agar ham kaheṅ aur vo muskurā deṅ
ham unke lie ziṅdgānī luṭā deṅ
har ek moṛ par ham ġhamoṅ ko sazā deṅ
chalo ziṅdgī ko mohabbat banā deṅ
agar khud ko bhūle to, kuchh bhī na bhūle
ki chāhat meṅ unkī, khudā ko bhulā deṅ
kabhī ġham kī āṇdhī, jinheṅ chhū na pāe
vafāoṅ ke ham, vo naśheman banā deṅ
qayāmat ke dīvāne kahte haiṅ hamse
śhalo unke chahre se pardā haṭā deṅ
sazā deṅ, silā deṅ, banā deṅ, miṭā deṅ
magar vo koī faislā to sunā deṅ