abhī to maiṅ javān hūṇ - 3
havā bhī khuśhagvār hai, guloṅ pe bhī nikhār hai
tarannumeṅ hazār haiṅ, bahār purabhār hai
kahāṇ chalā hai sāqiyā, (idhar to lauṭ idhar to ā) - 3
are, yah dekhtā hai kyā? uṭhā subū, subū uṭhā
subū uṭhā, piyālā bhar piyālā bhar ke de idhar
chaman kī simt kar nazar, samā to dekh bekhbar
vo kālī-kālī badliyāṇ - 2, ufaq pe ho gaī ayāṅ
vo ik hajūm-e-maikśhāṅ, hai sū-e-maikdā ravāṅ
ye kyā gumāṅ hai badgumāṅ, samajh na mujhko nātvāṅ
khayāl-e-zohd abhī kahāṇ? abhī to maiṅ javān hūṇ
abhī to maiṅ javān hūṇ - 2
ibādtoṅ kā zikra hai, nijāt kī bhī fikra hai
junūn hai sabāb kā, khayāl hai azāb kā
magar suno to śhekh jī, ajīb śhay haiṅ āp bhī
bhalā śhabāb-o-āśhiqī, alag hue bhī haiṅ kabhī
hasīn jalvārez ho, adāeṅ fitanakhez ho
havāeṅ itrbez hoṅ, to śhauq kyūṇ na tez ho?
nigārhā-e-fitnāgar - 2, koī idhar koī udhar - 2
ubhārte ho aiśh par, to kyā kare koī baśhar
chalo jī qissā mukhtasar, tumhārā nuqtā-e-nazar
durust hai to ho magar, abhī to maiṅ javān hūṇ
abhī to maiṅ javān hūṇ - 2
ye ġhaśht kohsār kī, ye sair jū-e-vār kī
ye bulbuloṅ ke chahachhe, ye gulrukhoṅ ke qahaqhe
kisī se mel ho gayā, to raṅj-o-fikra kho gayā
kabhī jo vaqt so gayā, ye hṇs gayā vo ro gayā
ye iśhq kī kahāniyāṇ, ye ras bharī javāniyāṇ
udhar se maharbāniyāṇ, idhar se lantrāniyāṇ
ye āsmān ye zamīṅ - 2, nazazrāhā-e-dilanśhīṅ
une hayāt āfrīṅ, bhalā maiṅ chhoṛ dūṇ yahīṅ
hai maut is qadar barīṅ, mujhe na āegā yaqīṅ
nahīṅ-nahīṅ abhī nahīṅ, nahīṅ-nahīṅ abhī nahīṅ
abhī to maiṅ javān hūṇ - 3
na ġham kaśhod-o-bast kā, balaṅd kā na past ka
na būd kā na hast kā na vādā-e-alast kā
ummīd aur yās gum, havās gum qayās gum
nazar se ās-pās gum, haman bajuz gilās gum
na may meṅ kuchh kamī rahe, kadā se hamadmī rahe
naśhist ye jamī rahe, yahī hamā-hamī rahe
vo rāg chheṛ mutribā, taravafizā ālamrubā
asar sadā-e-sāz kā, jiġhar meṅ āg de lagā
har ik lab pe ho sadā, na hāth rok sāqiyā
pilāe jā pilāe jā, pilāe jā pilāe jā
abhī to maiṅ javān hūṇ - 3