आशियाँ जल गया गुलसिताँ लुट गया
आशियाँ जल गया गुलसिताँ लुट गया
अब क़फ़स से निकल कर किधर जायेंगे
कितने मानूस सैयाद से हो गये
अब रिहाई मिलेगी तो मर जायेंगे
आशियाँ जल गया …
काले काले वो गेसू शिकन-दर-शिकन
वो तबस्सुम का आलम, चमन-दरचमन
खींच ली उन की तसवीर दिल ने मेरे
अब वो दामन बचा कर किधर जायेंगे
आशियाँ जल गया …
और कुछ दिन ये दस्तूर-ए--मैख़ाना है
तश्नक़ामी के ये दिन गुज़र जायेंगे
मेरे साक़ी को नज़रें उठाने तो दो
जितने खाली हैं सब जाम भर जायेंगे
आशियाँ जल गया …
अश्क़-ए-ग़म ले के आख़िर कहाँ जायें हम
आँसुओं की यहाँ कोई क़ीमत नहीं
आप ही अपना दामन बढ़ा दीजिये
वरना मोती ज़मीं पर बिखर जायेंगे
आशियाँ जल गया …
ऐ नसीम-ए-सहर तुझ को उन की क़सम
उन से जा कर न कहना मेरा हाल-ए-ग़म
मेरे मिटने का डर तो नहीं है मुझे
डर ये है उन के गेसू बिखर जायेंगे
आशियाँ जल गया …
āśhiyāṇ jal gayā gulsitāṇ luṭ gayā
ab qafas se nikal kar kidhar jāyeṅge
kitne mānūs saiyād se ho gaye
ab rihāī milegī to mar jāyeṅge
āśhiyāṇ jal gayā …
kāle kāle vo gesū śhikan-dar-śhikan
vo tabassum kā ālam, chaman-darchaman
khīṅch lī un kī tasvīr dil ne mere
ab vo dāman bachā kar kidhar jāyeṅge
āśhiyāṇ jal gayā …
aur kuchh din ye dastūr-e--maikhānā hai
taśhnaqāmī ke ye din guzar jāyeṅge
mere sāqī ko nazreṅ uṭhāne to do
jitne khālī haiṅ sab jām bhar jāyeṅge
āśhiyāṇ jal gayā …
aśhq-e-ġham le ke ākhir kahāṇ jāyeṅ ham
āṇsuoṅ kī yahāṇ koī qīmat nahīṅ
āp hī apnā dāman baṛhā dījiye
varnā motī zamīṅ par bikhar jāyeṅge
āśhiyāṇ jal gayā …
ai nasīm-e-sahar tujh ko un kī qasam
un se jā kar na kahnā merā hāl-e-ġham
mere miṭne kā ḍar to nahīṅ hai mujhe
ḍar ye hai un ke gesū bikhar jāyeṅge
āśhiyāṇ jal gayā …