आप भी आइये हमको भी बुलाते रहिये
आप भी आइये हमको भी बुलाते रहिये
दोस्ती ज़ुर्म नहीं दोस्त बनाते रहिये
आप भी आइये …
ज़हर पी जाइये और बाँटिये अमृत सब को
ज़ख्म भी खाइये और गीत भी गाते रहिये
आप भी आइये …
वक़्त ने लूट लीं लोगों की तमन्नाएँ भी
ख्वाब जो देखिये औरों को दिखाते रहिये
आप भी आइये …
शक्ल तो आपके भी ज़हन में होगी कोई
कभी बन जाएगी तस्वीर बनाते रहिये
आप भी आइये …
āp bhī āiye hamko bhī bulāte rahiye
dostī zurm nahīṅ dost banāte rahiye
āp bhī āiye …
zahar pī jāiye aur bāṇṭiye amṛt sab ko
zakhm bhī khāiye aur gīt bhī gāte rahiye
āp bhī āiye …
vaqt ne lūṭ līṅ logoṅ kī tamannāeṇ bhī
khvāb jo dekhiye auroṅ ko dikhāte rahiye
āp bhī āiye …
śhakla to āpke bhī zahan meṅ hogī koī
kabhī ban jāegī tasvīr banāte rahiye
āp bhī āiye …