Aaj kisee ne baaton-baaton men jab unkaa naam liyaa

आज किसी ने बातों-बातों में जब उनका नाम लिया
Year
Language

आज किसी ने बातों-बातों में जब उनका नाम लिया
दिल ने जैसे ठोकर खाई, दर्द ने बढ़ कर थाम लिया

राह-ए-तलब में चलते-चलते थक कर जब हम चूर हुये
ज़ुल्फ़ की ठण्डी छाँव में बैठे, पल दो पल आराम लिया

दीवारों के साये-साये उम्र बिताई दीवाने
मुफ़्त में तन आसानी-ए-ग़म का अपने सर इल्ज़ाम लिया

घर से दामन झाड़ के निकले वहशत का सामान न पूछ
यानी गर्द-ए-राह से हमने रख़्त-ए-सफ़र का काम लिया

āj kisī ne bātoṅ-bātoṅ meṅ jab unkā nām liyā
dil ne jaise ṭhokar khāī, dard ne baṛh kar thām liyā

rāh-e-talab meṅ chalte-chalte thak kar jab ham chūr huye
zulf kī ṭhaṇḍī chhāṇv meṅ baiṭhe, pal do pal ārām liyā

dīvāroṅ ke sāye-sāye umr bitāī dīvāne
muft meṅ tan āsānī-e-ġham kā apne sar ilzām liyā

ghar se dāman jhāṛ ke nikle vahśhat kā sāmān na pūchh
yānī gard-e-rāh se hamne rakht-e-safar kā kām liyā