ai uḍī uḍī, ai khvāboṅ kī puḍī, ai aṅg raṅg khilī, ai sārī rāt ho gaī
halkī, ai halkī, kal rāt jo śhabnam girī
are aṅkhīyāṇ vakhiyāṇ bhar gaī, kal to hāth pe ḍab ḍab girī
pahlī pahlī bārīśh kī chhīṅṭe, pahlī bārīśh bhīge
uljhī huyī thī, khultī gaī thī laṭ, vo rāt bhar barsī
kabhī manāe khūb satāye, thī sab yār kī marjī
chheḍ dūṇ maiṅ kabhī pyār se, to taṅg hotī hai
chhoḍ dūṇ rūṭh ke, to bhī to jaṅg hotī hai
chheḍ dūṇ maiṅ kabhī pyār se, to taṅg hotī hai
khāmkhāṇ chūm lūṇ to bhī to, jaṅg hotī hai
ziṅdgī āṇkhoṅ kī āyat hai, ziṅdgī āṇkhoṅ meṅ rakhī haiṅ, terī amānat hai ye jiṅdgī
laḍ laḍ ke jīne ko ye lamheṅ toḍe haiṅ, mar mar ke sīne meṅ ye śhīśhe joḍe haiṅ
tum kah do sab lā de, bas itnā socho to, ambar pe pahle hī sitāre thoḍe haiṅ
ziṅdgī āṇkhoṅ kī āyat hai, ziṅdgī palkoṅ meṅ jhapkī haiṅ, mīṭhī śhikāyat hai ye jiṅdgī