sāthiyā sāthiyā , maddham maddham terī ye gīlī haṅsī
sāthiyā sāthiyā, sun ke ham ne sārī pī lī haṅsī
haṅstī rahe tū haṅstī rahe, hayā kī lālī khiltī rahe
zulph ke nīche gardan pe subah-o-śhām miltī rahe
sondhī sī haṅsī terī, khiltī rahe miltī rahe
pīlī dhūp pahan ke tūm, dekho bāg meṅ mat jānā
bhanvre tum ko sab chheḍeṅge, phūloṅ meṅ mat jānā
maddham maddham haṅs de phir se, sonā sonā phir se haṅs de
tāzā gire patte ki tarah sabj lān par leṭe hue
sāth raṅg haiṅ bahāroṅ ke, ek adā meṅ lapeṭe hue
sāvan bhādoṅ sāre tum se, mausam mausam haṅste rahnā
maddham maddham haṅste rahnā, sāthiyā sāthiyā
kabhī nīle āsmān pe chalo ghūmneṅ chaleṅ ham
koi abr mil gayā to, zamīn pe baras leṅ ham
terī bālī hil gaī hai, kabhī śhab chamak uṭhī haiṅ, kabhī śhām khil gayī hai
tere bāloṅ kī panāh meṅ ye siyāh rāt guzre
terī kālī kālī āṅkheṅ koī ujlī bāt utre
terī ik haṅsī ke badle, merī ye zamīn le le merā āsmān le le
barph girī ho vādī meṅ, un meṅ lipṭī simtī huyī
barph girī ho vādī meṅ aur haṅsī terī gūṅjī
un meṅ lipṭī simṭī huyī, bāt kare dhuvāṇ nikle
garam garam ujlā dhuvāṇ, naram naram ujlā dhuvāṇ