lākh chhupāo, chhup nā sakegā, rāj ho kitnā gahrā
dil kī bāt batā detā hai, aslī naklī chehrā
phūl meṅ khuśhbū, dil meṅ chāhat, kabhī na chhupne pāyī hai
āṇkh se jhalkī ban kar surkhī jab jab āg dabāyī hai
jajbātoṅ par lag nahīṅ saktā khāmośhī kā pahrā
dil kī bāt ...
log to dil ko khuśh rakhne ko, kyā kyā ḍhoṅg rachāte haiṅ
bhes badal kar is duniyā meṅ bahrūpe ban jāte haiṅ
man darpan meṅ mukhaṛā dekho, utrā raṅg sunahrā
dil kī bāt ...
ab nā ham ko aur banāo, ham ne to pahchān liyā
sāgar se bhī gahre nikle, ham ne tum ko jān liyā
jiske man meṅ chor chhūpā ho, sāmne kab vo ṭhahrā
dil kī bāt ...