lākh chhupāo chhup na sakegā rāj ho kitnā gahrā
dil kī bāt batā detā hai, aslī naqlī chehrā
phūl meṅ khuśhbū dil meṅ chāhat kabhī na chhipne pāī hai
āṇkh se ḍhalkī bankar surkhī jab jab ākar davāī hai
sach bātoṅ par lag nahīṅ saktā khāmośhī kā pahrā
dil kī bāt batā detā hai, aslī naqlī chehrā
ab na ham ko aur batāo hamne to pahchān liyā
sāgar se bhī gahre nikle hamne tum ko jān liyā
jis ke man meṅ chor chhipā ho sāmne kavi vah ṭhahrā
dil kī bāt batā detā hai, aslī naqlī chehrā
log to dil ko khuśh rakhne ko kyā kyā ḍhoṅg rachāte hai
bheṣh badal kar is duniyā meṅ bahrūpiye ban jāte haiṅ
man darpan meṅ mukhaṛā dekho utrā raṅg sunahrā
dil kī bāt batā detā hai, aslī naqlī chehrā