Title (Indic)ऐ दिल लाया है बहार अपनों का प्यार क्या कहना WorkKya Kehna Year2000 LanguageHindi Credits Role Artist Music Rajesh Roshan Performer Kavita Krishnamurthy Performer Hariharan Writer Majrooh Sultanpuri LyricsHindiओ ओ ओ ऐ दिल लाया है बहार अपनों का प्यार क्या कहना मिले हम छलक उठा खुशी का खुमार क्या कहना खिले खिले चेहरों से आज घर है मेरा गुल-ए-गुलज़ार क्या कहना खिले खिले चेहरों से … हम तुम यूं ही मिलते रहें महफ़िल यूं ही सजती रहे बस प्यार की यही एक धुन हर सुबह-ओ-शाम बजती रहे गले में महकता रहे प्यार भरी बाहों का हार क्या कहना खिले खिले चेहरों से … दिल का कोई टुकड़ा कभी दिल से जुदा होता नहीं अपना कोई जैसा भी हो अपना है वो दूजा नहीं यही वो मिलन है जो सचमुच है दिल का करार क्या कहना खिले खिले चेहरों से … कुछ अपने ही तक यूं नहीं ये है सवाल सबके लिए जीना है तो जग में जियो बनके मिसाल सबके लिए देखो कैसा महक रहा प्यार भरी बाहों का हार क्या कहना खिले खिले चेहरों से … जो हो गया सो हो गया लोगों से तू डरना नहीं साथी तेरे हैं और भी दुनिया में तू तनहा नहीं सामना करेंगे मिलके चाहें दस हों चाहें दस हज़ार क्या कहना खिले खिले चेहरों से आज जग है मेरा मेरा गुल-ए-गुलज़ार क्या कहना हो ओ हो ओ ऐ दिल लाया है बहार … Englisho o o ai dil lāyā hai bahār apnoṅ kā pyār kyā kahnā mile ham chhalak uṭhā khuśhī kā khumār kyā kahnā khile khile chehroṅ se āj ghar hai merā gul-e-gulazār kyā kahnā khile khile chehroṅ se … ham tum yūṅ hī milte raheṅ mahafil yūṅ hī sajtī rahe bas pyār kī yahī ek dhun har subah-o-śhām bajtī rahe gale meṅ mahaktā rahe pyār bharī bāhoṅ kā hār kyā kahnā khile khile chehroṅ se … dil kā koī ṭukaṛā kabhī dil se judā hotā nahīṅ apnā koī jaisā bhī ho apnā hai vo dūjā nahīṅ yahī vo milan hai jo sachmuch hai dil kā karār kyā kahnā khile khile chehroṅ se … kuchh apne hī tak yūṅ nahīṅ ye hai savāl sabke lie jīnā hai to jag meṅ jiyo banke misāl sabke lie dekho kaisā mahak rahā pyār bharī bāhoṅ kā hār kyā kahnā khile khile chehroṅ se … jo ho gayā so ho gayā logoṅ se tū ḍarnā nahīṅ sāthī tere haiṅ aur bhī duniyā meṅ tū tanhā nahīṅ sāmnā kareṅge milke chāheṅ das hoṅ chāheṅ das hazār kyā kahnā khile khile chehroṅ se āj jag hai merā merā gul-e-gulazār kyā kahnā ho o ho o ai dil lāyā hai bahār …