phūloṅ meṅ jo khuśhbū hai kaise vo ātī hai ajūbā
titlī kahāṇ se ye sāre raṅg lātī hai ajūbā
havā ko bāṇsurī banātī hai saṅgīt kaise ajūbā
koyal ne sīkhe haiṅ itne pyāre gīt kaise ajūbā
haiṅ ye ajūbe lekin ik aur ajūbā hai
dhartī se ambar se parbat se sāgar se
hamne sunā pyār ajūbā hai
ho
pahlī nazar meṅ hī jo do diloṅ meṅ ho
har vo qarār ajūbā hai o
phūloṅ se jo khuśhbū āye ajūbā hai
titlī jo sāre raṅg lāye ajūbā hai
bāṇsurī kā ye saṅgīt ajūbā hai
koyal jo gātī hai gīt ajūbā hai
ye bhī hairāṇ haiṅ aisā bhī ek ajūbā hai
ho
ho
ḍālī meṅ mahak hotī hī nahīṅ kaliyoṅ meṅ mahak ā jātī hai
ye bhī ajūbā hī hai
sāgar se ghaṭā jo uṭhtī hai mīṭhā pānī barsātī hai
ye bhī ajūbā hī hai
jaṅgal meṅ jugnū ko dekho to ye socho
ye rośhnī is meṅ āī kaise
tan meṅ jo hai jāṇ vo kis tarah hai
man meṅ haiṅ armāṇ vo kis tarah haiṅ
kah bhī do ye bhī to koī ajūbā hai
dhartī se ambar se parbat se sāgar se
hamne sunā pyār ajūbā hai
pahlī nazar meṅ hī jo do diloṅ meṅ ho
har vo qarār ajūbā hai o
phūloṅ se jo khuśhbū āye ajūbā hai
titlī jo sāre raṅg lāye ajūbā hai
bāṇsurī kā ye saṅgīt ajūbā hai
koyal jo gātī hai gīt ajūbā hai
ye bhī hairāṇ haiṅ aisā bhī ek ajūbā hai
ajūbā ajūbā ajūbā ajūbā ajūbā ajūbā -3
kahne ko sāt ajūbe haiṅ par śhāyad log ye bhūle haiṅ
ek aur ajūbā bhī hai
reśham-reśham chaṅdan-chaṅdan terā mahkā-mahkā ye badan
koī ajūbā hī hai
āṇkhoṅ ke nīle darpan hoṅṭhoṅ kā ye bhīgāpan
ye rūp terā ajūbā hī to hai
bāṇhoṅ kī garmī ye bhī ajūbā hai
hāthoṅ kī narmī ye bhī ajūbā hai
ye chaman sā badan koī ajūbā hai
dhartī se ambar se parbat se sāgar se
hamne sunā pyār ajūbā hai
pahlī nazar meṅ hī jo do diloṅ meṅ ho
har vo qarār ajūbā hai o
phūloṅ se jo khuśhbū āye ajūbā hai
titlī jo sāre raṅg lāye ajūbā hai
bāṇsurī kā ye saṅgīt ajūbā hai
koyal jo gātī hai gīt ajūbā hai
ye bhī hairāṇ haiṅ aisā bhī ek ajūbā hai