tujhko yūṇ dekhā hai, yūṇ chāhā hai, yūṇ pūjā hai
tū jo patthar kī bhī hotī to khudā ho jātī
bekhtā rūṭh gaī rūṭh ke dil toṛ diyā
kyā sazā detī agar koī khatā ho jatī
hāth phailā diye inām-e-mohabbat ke liye
ye na sochā kī maiṅ kyā, merī mohabbat kyā hai
rakh diyā dil
rakh diyā dil tere qadmoṅ pe tab āyā ye khayāl
tujhko is ṭūṭe hue dil kī zarūrat kyā hai -2
terī ulfat ke kharīdār to itne hoṅge -2
tere gusse kā talabgār mile yā nā mile
likh de mere hī muqaddar meṅ sazāyeṅ sārī
phir koī mujhsā gunahgār mile yā nā mile -2