saṅsār ke sab sukh tere
ā pyār kī bāhoṅ meṅ
palkoṅ se maiṅ chun chun lūṇgī
kāṇṭe haiṅ jo rāhoṅ meṅ
jab ġham tujhe ghereṅge
jab dard satāyegā
tab tab terī duniyā meṅ
āūṇgī davā banke
koī tere khvāboṅ ko
jis vaqt jalāyegā
māsūm vafā merī
barsegī ghaṭā banke
le lūṇgī tere dil ko maiṅ
is dil kī panāhoṅ meṅ
Not in tarannum
apnā tujhe samjhā hai
sīne se lagā lenā
taklīfoṅ se ghabrāke
dāman na chhuṛā lenā
Back to singing
samjhegā hunar terā
nādān zamānā kyā
har moṛ pe jīvan ke
ek śhamā jalā dī hai
ab dard ka śhikvā kyūṇ,
ab aśhk bahānā kyā
hṇsne kī adā tūne
zakhmoṅ ko sikhā dī hai
ummīd jagā dī hai
māyūs nigāhoṅ meṅ