mahkī-mahkī haiṅ rāheṅ bahkī-bahkī haiṅ nigāheṅ haiṅ nā
hāy re hāy re hāy re hāy re
ghere haiṅ jo ye bāṇheṅ pāī haiṅ maiṅne panāheṅ haiṅ nā
hāy re hāy re hāy re hāy re
gā tū dil ke tāroṅ pe gā gīt aisā koī nayā
jo ziṅdgī meṅ kabhī ho nā pahle sunā
palkoṅ pe sapne sajā sapnoṅ meṅ jādū jagā
tū merī rāhoṅ meṅ chāhat kī śhammeṅ jalā
mere dil ne tohafe ye tum se pāye
dhup thī ġham kī tum lāye sāye
merī ab jo bhī khuśhī hai mujhe tum se hī milī hai suno nā
tumhī vo chāṇdnī ho jo merī nazroṅ meṅ khilī hai
kahīṅ ye to nahīṅ haiṅ vo āṇkheṅ hasīṅ dekhtī haiṅ jo mujhko piyā
jo bhī hūṇ terī hūṇ bas yahī gun hai merā
dil kī ye zid hai dil kā hai kahnā
sāth tumhre is ko hai rahnā
chalo kahīṅ dūr hī jāyeṅ naī ek duniyā basāyeṅ, suno nā
vahāṇ bas maiṅ aur tum ho mohabbat meṅ ham gum hoṅ
ab ho uljhan koī ab ho baṅdhan koī ho nahīṅ sakte ham ab judā
ye terā ye merā ākhrī hai faislā
%(this is yours, this is mine, last decision)