jiyā jale, jān jale nainoṅ tale dhuāṇ chale, dhuāṇ chale
rāt bhar dhuāṇ chale
jānūṇ na jānūṇ na jānūṇ na sakhi rī
jiyā jale, jān jale …
dekhte haiṅ tan merā man meṅ chibhtī hai nazar
hoṅṭh sil jāte unke narm hoṅṭhoṅ pe magar
gintī rahtī hūṇ maiṅ apnī karavṭoṅ ke silsile
kyā karūṇ kaise kahūṇ, rāt kab kaise ḍhale
jiyā jale, jān jale …
aṅg aṅg meṅ jaltī haiṅ dard kī chiṅgāriyāṇ
masle phūloṅ kī mahak meṅ titliyoṅ kī kyāriyāṇ
rāt bhar bechāri mehandī pistī rahī, pairoṅ tale
kyā karūṇ kaise kahūṇ, rāt kab kaise ḍhale
jiyā jale, jān jale …