tū hī tū, tū hī tū sataraṅgī re
tū hī tū, tū hī tū man raṅgīṅ re …
dil kā sāyā hamsāyā sataraṅgī re, man raṅgīṅ re
koī nūr hai tū kyoṅ dūr hai tū
jab pās hai tū ehsās hai tū
koī khvab hai yā parchhāī hai sataraṅgī re, man raṅgīṅ re
is bār batā maṅzūr havā ṭhahregī kahāṇ
iśhq par zor nahīṅ hai ye vo ātiśh ġhālib
jo lagāye na lage aur bujhāye na bane
āṇkhoṅ ne kuchh aise chhuā, halkā halkā uns huā
halkā halkā uns huā dil ko mahsūs huā
tū hī tū, tū hī tū, jīne kī sārī khuśhbū
tū hī tū, tū hī tū, ārazū, ārazū
terī jism kī āṇch ko chhūte hī
mere sāṇs sulagne lagte haiṅ
mujhe iśhq dilāse detā hai
mere dard bilakhne lagte haiṅ
tū hī tū, tū hī tū, jīne kī sārī khuśhbū
tū hī tū, tū hī tū, ārazū ārazū
chhūtī hai mujhe sargośhī se
āṇkhoṅ meṅ ghulī khāmośhī se
maiṅ farśh pe sajde kartā hūṇ
kuchh hośh meṅ kuchh behośhī se
dil kā sāyā hamsāyā …
terī rāhoṅ meṅ uljhā uljhā hūṇ
terī bāhoṅ meṅ uljhā uljhā
sulajhne de hośh mujhe terī chāhoṅ meṅ uljhā hūṇ
merā jīnā junūṇ merā marnā junūṇ
tū hī tū, tū hī tū, sataraṅgī re
tū hī tū, tū hī tū man raṅgīṅ re
iśhq par zor nahīṅ hai ye vo ātiśh ġhālib
jo lagāye na lage aur bujhāye na bane
mujhe maut kī god meṅ sone de
terī rūh meṅ jism ḍubone de
sataraṅgī re, man raṅgīṅ re