Title (Indic)बादलों से काट-काट के ... ये मुझे क्या हो गया WorkSatya Year1998 LanguageHindi Credits Role Artist Music Vishal Performer Bhupendra Singh Writer Gulzar LyricsHindi( बादलों से काट-काट के काग़ज़ों पे नाम जोड़ना ) -2 ये मुझे क्या हो गया अरे ये मुझे क्या हो गया डोरियों से बाँध-बाँढ के रात भर चाँद तोड़ना ये मुझे क्या हो गया -2 ( एक बार तुमको जब बरसते पानियों के पार देखा था यूँ लगा था जैसे गुनगुनाता एक आबशार देखा था ) -2 तब से मेरी नींद में बरसती रहती हो बोलती बहुत हो और laugh हँसती रहती हो जो तुझे जानता न हो उससे तेरा नाम पूछना ये मुझे क्या हो गया -3 ( देखो यूँ खुले बदन तुम देखो यूँ खुले बदन गुलाबी साहिलों पे आया न करो तुम नमक भरे समन्दरों में इस तरह नहाया न करो सारा दिन चाँदनी सी छायी रहती है और गुलाबी धूप बौखलाई रहती है जामुनों की नर्म डाल पे नाखुनों से नाम खोदना ये मुझे क्या हो गया -2 बादलों से काट-काट के काग़ज़ों पे नाम जोड़ना डोरियों से बाँध-बाँढ के रात भर चाँद तोड़ना ये मुझे क्या हो गया English( bādloṅ se kāṭ-kāṭ ke kāġhazoṅ pe nām joṛnā ) -2 ye mujhe kyā ho gayā are ye mujhe kyā ho gayā ḍoriyoṅ se bāṇdh-bāṇḍh ke rāt bhar chāṇd toṛnā ye mujhe kyā ho gayā -2 ( ek bār tumko jab baraste pāniyoṅ ke pār dekhā thā yūṇ lagā thā jaise gungunātā ek ābśhār dekhā thā ) -2 tab se merī nīṅd meṅ barastī rahtī ho boltī bahut ho aur laugh hṇstī rahtī ho jo tujhe jāntā na ho usse terā nām pūchhnā ye mujhe kyā ho gayā -3 ( dekho yūṇ khule badan tum dekho yūṇ khule badan gulābī sāhiloṅ pe āyā na karo tum namak bhare samandroṅ meṅ is tarah nahāyā na karo sārā din chāṇdnī sī chhāyī rahtī hai aur gulābī dhūp baukhlāī rahtī hai jāmunoṅ kī narm ḍāl pe nākhunoṅ se nām khodnā ye mujhe kyā ho gayā -2 bādloṅ se kāṭ-kāṭ ke kāġhazoṅ pe nām joṛnā ḍoriyoṅ se bāṇdh-bāṇḍh ke rāt bhar chāṇd toṛnā ye mujhe kyā ho gayā