jo rāh chunī tūne, usī rāh pe rāhī chalte jānā re
ho kitnī bhī lambī rāt, diyā ban jalte jānā re
kabhī peṛ kā sāyā peṛ ke kām na āyā
sevā meṅ sabhī kī usne janam bitāyā
koī kitne bhī phal toṛe, use to hai phalte jānā re
usī rāh pe rāhī chalte jānā re
jīvan ke safar meṅ aise bhī moṛ haiṅ āte
jahāṇ chal dete haiṅ apne bhī toṛ ke nāte
kahīṅ dhīraj chhūṭ na jāye, tū dekh sambhalte jānā re
usī rāh pe rāhī chalte jānā re
tere pyār kī mālā kahīṅ jo ṭūṭ bhī jāye
janmoṅ kā sāthī kabhī jo chhūṭ bhī jāye
de dekar jhūṭhī ās tū khud ko chhalte jānā re
usī rāh pe rāhī chalte jānā re
terī apnī kahānī ye dap.rṇ bol rahā hai
bhīgī āṇkh kā pānī, haqīkat khol rahā hai
jis raṅg meṅ ḍhāle vaqt, musāfir ḍhalte jānā re
usī rāh pe rāhī chalte jānā re