araz-e-śhauq āṇkhoṅ meṅ hai, araz-e-vafā āṇkhoṅ meṅ hai
tere āge bāt kahne kā mazā āṇkhoṅ meṅ hai
vāqif hūṇ khūb iśhq ke tarz-e-bayāṇ se maiṅ
kah dūṇgā dil kī bāt nazar kī zubāṇ se maiṅ -2
merī vafā kā śhauq se tū imthān le
guzrūṅg tere iśhq meṅ har imthāṇ se maiṅ
vāqif hūṇ khūb iśhq…
ai husn-e-āśhnā tere jalvoṅ kī khair ho
be-gān ho gayā hūṇ ġham-e-do jahāṇ se maiṅ
ab jāṅ-ba-lab hūṇ śhiddat-e-dard-e-nihāṇ se maiṅ
aise meṅ tujh ko ḍhūṇḍh kar lāūṇ kahāṇ se maiṅ
zamīṅ hamdard hai merī na hamdam āsmāṅ merā
terā dar chhūṭ gayā to phir ṭhikānā hai kahāṇ merā
qasam hai tujh ko, tujh ko qasam hai,
jazbā-e-dil na jāye raigāṇ merā
yahī hai imthāṇ terā, yahī hai imthāṅ merā
ek simṭ muhabbat hai ek simṭ zamānā
ab aise meṅ tujh ko ḍhūṇḍh kar lāūṇ kahāṇ se maiṅ
terā khayāl terī tamannā liye hue
dil bujh rahā hai ās kā śholā liye hue
hairāṇ khaṛī huī hai dorāhe pe ziṅdgī
nākām hasartoṅ kā janāzā liye hue
ab aise meṅ tujh ko ḍhūṇḍh kar lāūṇ kahāṇ se maiṅ
āvāz de rahā hai dil-e-khānmāṅ kharāb
sīne meṅ izatrāb hai sāṇsoṅ meṅ pech-o-tāb
ai rūh-e-iśhq ai jān-e-vafā kuch to de javāb
ab jāṅ-ba-lab hūṇ śhiddat-e-dard-e-nihāṇ se maiṅ
aise meṅ tujh ko ḍhūṇḍh kar lāūṇ kahāṇ se maiṅ