svapn jhaṛe phūl se, mīt chubhe śhūl se
luṭ gaye śhrṝṅgār sabhī, bāg ke babūl se
aur ham khaṛe khaṛe, bahār dekhte rahe
kārvāṇ guzar gayā, gubār dekhte rahe
āṇkh bhī khulī na thī ki hāy dhūp ḍhal gaī
pāṇv jab talaq uṭhe ki ziṅdgī fisal gaī
pāt pāt jhaṛ gae ki śhākh-śhākh jal gaī
chāh to nikal sakī (na par umar nikal gaī) - 2)
gīt aśhk ban gae, svapn ho dafan gae
sāth ke sabhī diye, dhuāṅ pahan-pahan gae
aur ham jhuke-jhuke, moṛ par ruke-ruke
umr kī chaṛhāv kā utār dekhte rahe, kārvāṇ guzar…
kyā śhabāb thā ki phūl phūl pyār kar uṭhā
kyā kamāl thā ki dekh āinā sihar uṭhā
is taraf zamīn aur āsmān udhar uṭhā
thāmkar jigar uṭhā (ki jo milā nazar uṭhā) - 2)
par tabhī yahāṇ magar, aisī kuchh havā chalī
luṭ gaī kalī kalī ki ghuṭ gaī galī galī
aur ham luṭe-luṭe, vaqt se piṭe-piṭe
śhām kī śharāb kā khumār dekhte rahe, kārvāṇ guzar…
hāth the mile ke zulf chāṇd kī savār dūṇ
hoṅṭh the khule ke har bahār ko pukār lūṇ
dard thā diyā gayā ke har dukhī ko pyār dūṇ
aur sāṇs yūṇ ke svarg, (bhūmi par utār dūṇ - 2)
ho sakā na kuchh magar, śhām ban gaī sahar
vo uṭhī lahar ke ḍhah gaye kile bikhar bikhar
aur ham ḍare ḍare, nīr nain meṅ bhare
oṛh kar kafan paṛe mazār dekhte rahe, kārvāṇ guzar…
māṇg bhar chalī ke ek jab naī naī kiran
ḍhol se dhunak uṭhī ṭhumak uṭhe charaṇ charaṇ
śhor mach gayā ke lo chalī dulhan chalī dulhan
gāṇv sab umaṛ paṛā, (bahak uṭhe nayan nayan - 2)
par tabhī zahar bharī gāz ek vah girī
pūṅchh gayā siṅdūr tār tār huī chunrī
aur ham ajān se, dūr ke makān se
pālkī liye huye kahār dekhte rahe, kārvāṇ guzar…
svpan jhaṛe phūl se, mīt chubhe śhūl se
luṭ gaye śhrṝṅgār sabhī bāg ke babūl se
aur ham khaṛe khaṛe bahār dekhte rahe
kārvāṇ guzar gayā gubbār dekhte rahe