terī talāśh mujh ko lāī kahāṅ kahāṅ se
sun le merā fasānā ab to merī zubāṇ se
maiṅ ne vahīṅ vahīṅ par sajde kiye haiṅ tujhko
zulfoṅ ko tū uṛātī guzrī jahāṅ jahāṅ se
irān ham ne dekhā, dekhā hai chīn ham ne
lekin kahīṅ nā dekhā tujh sā hasīn ham ne
koī bhī jab na payā tere muqable kā
avāz tujh ko dī hai o nāznīn ham ne
o yār zulfoṅ vāle dildār zulfoṅ vāle
zulfoṅ ne mujhko mārā khamdār zulfoṅ vāle
zubān-e-yār-man turkī, nā man turkī namī dānam
namī dānam, namī dānam, namī dānam oae
zubān-e-yār-man turkī
o bevafā hasīnā hathoṅ meṅ hāth le-le
kām āegā ye tere dīvānā sāth le-le
dīvānā koī mujh sā tujh ko nahīṅ mile gā
chāe to ik nazar meṅ kul kāynāt le-le
o yār zulfoṅ vāle dildār zulfoṅ vāle
zulfoṅ ne mujhko mārā khamdār zulfoṅ vāle
zubān-e-yār-man turkī-
mastī meṅ har qadam par gir kar terā saṅbhalnā
bal khānā baṅkapan se zulfoṅ kā ye machalnā
maiṅ to har ik adā ko āṇkhoṅ se chūm lūṇ gā
duniyā buhat burī hai duniyā se bachke chalnā
o yār zulfoṅ vāle dildār zulfoṅ vāle
zulfoṅ ne mujhko mārā khamdār zulfoṅ vāle
zubān-e-yār-man turkī-
terī zubāṅ judā hai merī zubāṅ judā hai
par dil ko kayā karūṅ meṅ dil tujh pe ā gayā hai
ik iśhq hai ki jiskā mazhab nahīṅ hai koī
har rang āśhaqī meṅ ik rang ho gayā hai
o yār zulfoṅ vāle dildār zulfoṅ vāle
zulfoṅ ne mujhko mārā khamdār zulfoṅ vāle
dildār zulfoṅ vāle
zubān-e-yār-man turkī-