ra: maiṅ pyār kā rāhī hūṇ
terī zulf ke sāe meṅ
kuchh der ṭhahar jāūṇ
ā: tum ek musāfir ho
kab chhoṛke chal doge
ye sochke ghabrāūṇ
ra: maiṅ pyār kā rāhī hūṇ
ra: tere bin jī lage na akele
ā: ho sake to mujhe sāth le le
ra: nāznīṅ tū nahīṅ jā sakegī
chhoṛkar zindgī ke jhamele
nāznīṅ
ā: jab bhī chhāe ghaṭā
yād karnā zarā
sāth raṅgoṅ kī umr kahānī
ra: maiṅ pyār kā rāhī hūṇ
ra: pyār kī bijliyāṇ muskurāeṅ
ā: dekhiye āp par gir na jāeṅ
ra: dil kahe dekhtā hī rahūṇ maiṅ
sāmne baiṭhkar ye adāeṅ
dil kahe
ā: na maiṅ hūṇ nāznīṅ
na maiṅ hūṇ mahajbīṅ
āp hī kī nazar hai dīvānī
ra: maiṅ pyār kā rāhī hūṇ