zarūrat hai zarūrat hai, sakht zarūrat hai!
(zarūrat hai zarūrat hai zarūrat hai
ek śhrīmtī kī, kalāvtī kī, sevā kare jo pati kī ) - 2
zarūrat hai zarūrat hai zarūrat hai
hasīṅ hazāroṅ bhī hoṅ khaṛe, magar usī par nazar paṛe - 2
ho zulf gāloṅ pe kheltī, ke jaise din rāt se laṛe
ho ho ho ho
adāoṅ meṅ bahār ho, nigāhoṅ pe khumār ho
qubūl merā pyār ho to kyā bāt hai
zarūrat hai zarūrat hai zarūrat hai …
itar meṅ sāṅseṅ basī basī, vo mastiyoṅ meṅ rasī rasī - 2
zarā sī palkeṅ jhukī jhukī, bhaveṅ ghanerī kasī kasī
ho ho ho ho
phūloṅ meṅ gulāb ho khud apnā javāb ho
vo pyār kī kitāb ho to kyā bāt hai
zarūrat hai zarūrat hai zarūrat hai …
jhaṭak ke gesū jahāṇ chale, to sāth meṅ āsmāṇ chale -2
lipaṭ ke kitne bhi pāṇv se, yah pūchhte ho kahāṇ chale
ho ho ho ho
pyār se jo kām le, hṇs ke salām le
vo hāth merā tham le, to kyā bāt hai
zarūrat hai zarūrat hai zarūrat hai
hāṅ hāṅ! śhrīmtī kī
ho ho ! kalāvti kī
sevā kare jo pati kī
zarūrat hai zarūrat hai zarūrat hai
sakht zarūrat hai!