The slow lines before the main song:
udās udās fizāoṅ meṅ nūr chhalkāo
bujhe bujhe hue tāroṅ ko hṇs ke chamkāo
ġhurur-e-husn salāmat na rāh dikhlāo
rabag ḍūb gayā, khūne ab to ā jāo (?)
ānā hī paṛegā, ānā hī paṛegā
sar iśhq ke kadmoṅ pe jhukānā hī paṛegā
ānā hī paṛegā
( nagmā merā har sāṇs meṅ ras ghol rahā hai
is sāṇs ke parde meṅ khudā bol rahā hai ) - 2
chheṛā hai agar sāz to gānā hī paṛegā - 2
sar iśhq ke kadmoṅ pe jhukānā hī paṛegā
ānā hī paṛegā
ānā hī paṛegā ā ā
( ṭapkegā lahū dard bhare rāg se kab tak
khelegī terī mast adā āg se kab tak ) - 2
is khel meṅ ab hāth jalānā hī paṛegā - 2
sar iśhq ke kadmoṅ pe jhukānā hī paṛegā
ānā hī paṛegā
ānā hī paṛegā ā ā
( ulfat kabhī duniyā se ḍaregī nā ḍarī hai
phūloṅ se javānī ne sadā māṇg bharī hai ) - 2
hṇsne ke liye zakhm to khānā hī paṛegā - 2
ānā hī paṛegā - 4
% Bilkul bhāgti āyi aur sar bhi jhukāy kadmon mein :)