(maiṅ paṅkh lagāke uṛ jāūṇ
maiṅ paṅkh lagāke uṛ jāūṇ
aur phir nā palaṭ ke āūṇ
maiṅ paṅkh lagāke uṛ jāūṇ
na na nā, na na nā, na na nā)-2
maiṅ paṅkh lagāke uṛ jāūṇ
lahroṅ meṅ jhūlūṇ, tāroṅ ko chhūlūṇ
lahroṅ meṅ jhūlūṇ
ambar kī chhātī se lag kar, sapnoṅ meṅ kho jāūṇ
anjānī rāhoṅ meṅ chhup kar, anjānī ho jāūṇ
aur khud bhī khoj nā pāūṇ
maiṅ paṅkh lagāke uṛ jāūṇ …
lahroṅ meṅ jhūlūṇ, tāroṅ ko chhūlūṇ
lahroṅ meṅ jhūlūṇ
badlī bankar ban ban ghūmūṇ, bijlī ban muskāūṇ
jharnoṅ kī jhālar meṅ baiṭhī, gīt suhānī gāūṇ
duniyā ko nazar nā āūṇ
maiṅ paṅkh lagāke uṛ jāūṇ …