hṇs le, gā le, dhūm machā le, duniyā fānī hai
kah le dil kī bāt sajan se, rāt suhānī hai
kaisī ye jāgī agan
(dūr kahīṅ ek tārā kartā hai ye iśhārā)2
jīt hai āj usī kī jis ne sab kuchh hārā
sīne meṅ tūfāṅ hai jalne kā armāṇ hai
kaisī ye jāgī agan
hṇs le, gā le, dhūm machā le, duniyā fānī hai
kah le dil kī bāt sajan se, rāt suhānī hai
kaisī ye jāgī agan
mārīyā …
(dūr nagrīyā terī, rastā hai anjānā )2
rāh meṅ milne vāle, rāh meṅ chhoḍ na jānā
sīne meṅ tūfāṅ hai, jalne kā armāṇ hai
kaisī ye jāgī agan
hṇs le, gā le, dhūm machā le, duniyā fānī hai
kah le dil kī bāt sajan se, rāt suhānī hai
kaisī ye jāgī agan
mārīyā …
toṛ ke nāte sāre chalī hūṇ un ke dvāre
ghar āṇgan se kahiyo ab nā mujhe pukāre
sīne meṅ tūfāṅ hai, jalne kā armāṇ hai
kaisī ye jāgī agan, lagī hai dil meṅ lagan
sīne meṅ tūfāṅ hai, jalne kā armāṇ hai
kaisī ye jāgī agan
hṇs le, gā le, dhūm machā le, duniyā fānī hai
kah le dil kī bāt sajan se, rāt suhānī hai
mārīyā …