Title (Indic)क्यूँ अंखियाँ भर आईं ... भूल सके न हम तुम्हें WorkTamasha Year1952 LanguageHindi Credits Role Artist Music Manna Dey Performer Lata Mangeshkar Writer Bharat Vyas LyricsHindiक्यूँ अंखियाँ भर आई फिर कोई याद आया क्यूँ अंखियाँ भर आई ( भूल सके न हम तुम्हें और तुम तो जाके भूल गये ) -2 रो रो के कहता है दिल क्यूँ दिल को लगा के भूल गये भूल सके न हम तुम्हें बेवफ़ा ये क्या किया दिल के बदले ग़म दिया मुस्कुराई थी घडी भर रात दिन अब रोऊं पिया एक पलक चंदा मेरे यूं झलक दिखा के भूल गये भूल सके न हम तुम्हें कौनसी थी बैरन घडी वो जबके तुझसे उलझे नयन सुख के मीठे झूले में रुमझुम झूम उठा था पावन सा मन दिन सुनहरे रातें रुपहली तुम मिले मैं हुई मगन आँख खुली तो मैने देखा देखा था एक झूटा सपन सपनों के संसार में मेरा मन भरमाके भूल गये भूल सके न हम तुम्हें और तुम तो जाके भूल गये भूल सके न हम तुम्हें Englishkyūṇ aṅkhiyāṇ bhar āī phir koī yād āyā kyūṇ aṅkhiyāṇ bhar āī ( bhūl sake na ham tumheṅ aur tum to jāke bhūl gaye ) -2 ro ro ke kahtā hai dil kyūṇ dil ko lagā ke bhūl gaye bhūl sake na ham tumheṅ bevafā ye kyā kiyā dil ke badle ġham diyā muskurāī thī ghaḍī bhar rāt din ab roūṅ piyā ek palak chaṅdā mere yūṅ jhalak dikhā ke bhūl gaye bhūl sake na ham tumheṅ kaunsī thī bairan ghaḍī vo jabke tujhse uljhe nayan sukh ke mīṭhe jhūle meṅ rumjhum jhūm uṭhā thā pāvan sā man din sunahre rāteṅ rupahlī tum mile maiṅ huī magan āṇkh khulī to maine dekhā dekhā thā ek jhūṭā sapan sapnoṅ ke saṅsār meṅ merā man bharmāke bhūl gaye bhūl sake na ham tumheṅ aur tum to jāke bhūl gaye bhūl sake na ham tumheṅ