su: nayā-nayā hai pyār zamānā dekh na le
pahlā hai ikrār zamānā dekh na le
nayā-nayā hai pyār zamānā dekh na le
su: nayā-nayā hai pyār zamānā dekh na le -2
śha: huā sab chaupaṭ
gaī duniy ḍaṭ
huī bāteṅ ulaṭ
sun o naṭkhaṭ
zarā bāt palat
kuchh gā jhaṭapaṭ
jhaṭapaṭ -5
su: ho gaīṅ āṇkheṅ chār zamānā dekh na le
nayā-nayā hai pyār zamānā dekh na le
mujhe yād nahīṅ koī rāg
zarā tū jāg
chheṛ koī rāg
ke jisse lage diloṅ meṅ āg
ke sun kar duniyā jāye bhāg
chheṛ koī rāg -5
śha: pahlī nazar kā pyār zamānā dekh na le
pahlā hai ikrār zamānā dekh na le
sun rī
sun rī gorī
zarā bāt morī
pahle kheṅch to le
na ye ṭūṭe ḍorī
kuchh gā gorī
kuchh gā -5
su: pahlā hai dīdār zamānā dekh na le
nayā-nayā hai pyār zamānā dekh na le
hāṇ jalte raheṅge jalne vāle
hṇste raheṅge hṇsne vāle
e e e
śha: ho phir bhī raho huśhiyār merī sarkār zamānā dekh na le -2