āheṅ na bharīṅ śhikve na kie
kuchh bhī na zabāṅ se kām liyā
is dil ko pakaṛ kar baiṭh gae
hāthoṅ se kalejā thām liyā
pūchhā jo kisī ne hāl to ham
kuchh kah na sake kuchh kah bhī gae
roke to bahut āṇsū lekin
kuchh ruk bhī gae kuchh bah bhī gae
afsānā kahā aur lab na hile
aśhkoṅ se jahāṇ kā kām liyā
rone se bhalā kyā dil ruktā
duniyā ko aur taṛpātā
sach pūchhiye ye to khair huī
mahafil meṅ tamāśhā ban jātā
kuchh āp adāeṅ rok gae
kuchh zabt se ham ne kām liyā
vo lākh tumhāre zulm sahe
par āṇkh se āṇsū bah na sakā
bīmār-e-mohabbat ai nakhśhab
kuchh aur to muṇh se kah na sakā
ik ṭhaṇḍī sī lambī āh bharī
chupke se kisī kā nām liyā
āheṅ na bharīṅ …