Nigaah-e-mast-e-saaqee kaa salaam aayaa to k‌yaa hogaa

निगाह-ए-मस्त-ए-साक़ी का सलाम आया तो क्‌या होगा
Year
Language

निगाह-ए-मस्त-ए-साक़ी का सलाम आया तो क्‌या होगा
अगर फिर तर्क-ए-तौबा का पयाम आया तो क्‌या होगा

हरम वाले तो पूछेंगे बता तू किसका बन्दा है
ख़ुदा से पहले लब पर उनका नाम आया तो क्‌या होगा

मुझे मंज़ूर उनसे मैं न बोलूँगा मगर नासेह
अगर उनकी निगाहों का सलाम आया तो क्‌या होगा

मुझे तर्क-ए-तलब मंज़ूर लेकिन ये तो बतला दो
कोई ख़ुद ही लिये हाथों में जाम आया तो क्‌या होगा

मुहब्बत के लिये तर्क-ए-तअल्लुक़ ही ज़ुरूरी हो
मुहब्बत में अगर ऐसा मकाम आया तो क्‌या होगा

nigāh-e-mast-e-sāqī kā salām āyā to k‌yā hogā
agar phir tark-e-taubā kā payām āyā to k‌yā hogā

haram vāle to pūchheṅge batā tū kiskā bandā hai
khudā se pahle lab par unkā nām āyā to k‌yā hogā

mujhe maṅzūr unse maiṅ na bolūṇgā magar nāseh
agar unkī nigāhoṅ kā salām āyā to k‌yā hogā

mujhe tark-e-talab maṅzūr lekin ye to batlā do
koī khud hī liye hāthoṅ meṅ jām āyā to k‌yā hogā

muhabbat ke liye tark-e-taalluq hī zurūrī ho
muhabbat meṅ agar aisā makām āyā to k‌yā hogā