Nekee teree saath chalegee baabaa

नेकी तेरी साथ चलेगी बाबा
Year
Language

नेकी तेरी साथ चलेगी बाबा
साथ यही एक बात चलेगी बाबा
संग न देंगे बन्धु-बराती
संग न देंगे जीवन-साथी
नेकी तेरी साथ चलेगी …

वे जिनके लिए तूने महल बनाए ये न तुझे बहलाएँगे भाई
आग पे इक दिन सो जाएगा बनके धुआँ तू खो जाएगा
नेकी तेरी साथ चलेगी …

ऐ याद में तेरी आँसू बहाकर जीवन कोई न खोएगा
इक तारा टूट गया तो आसमान क्‌यों रोएगा
कैसी बाबुल की ममता मतलब का हर नाता
नेकी तेरी साथ चलेगी …

nekī terī sāth chalegī bābā
sāth yahī ek bāt chalegī bābā
saṅg na deṅge bandhu-barātī
saṅg na deṅge jīvan-sāthī
nekī terī sāth chalegī …

ve jinke lie tūne mahal banāe ye na tujhe bahlāeṇge bhāī
āg pe ik din so jāegā banke dhuāṇ tū kho jāegā
nekī terī sāth chalegī …

ai yād meṅ terī āṇsū bahākar jīvan koī na khoegā
ik tārā ṭūṭ gayā to āsmān k‌yoṅ roegā
kaisī bābul kī mamtā matalab kā har nātā
nekī terī sāth chalegī …